hisar-e-qarya-e-khunbar se nikalte hue ye dil malul tha aazar se nikalte hue badi hi der talak dhup mujh ko chhu na saki tumhaare saya-e-diwar se nikalte hue ki phir se takht ko aana tha mere qadmon mein main pur-yaqin tha darbar se nikalte hue shua-e-nur ke phute se jaan larazti thi tumhaari garmi-e-rukhsar se nikalte hue tumhaare dhyan mein gum ho gai thi mahki hawa hudud-e-jada-e-gulzar se nikalte hue main laut aaya tujhe chhod kar magar aadha wahin raha dar-o-diwar se nikalte hue faza mein der talak khub jagmagate 'shumar' wo lafz shokhi-e-guftar se nikalte hue