apni dida-wari se darti hun warna main kab kisi se darti hun asl se naqal badh na jae kahin fan-e-surat-gari se darti hun mujh ko itna khuda ka khauf nahin jitna main aadmi se darti hun dosti ki to baat hi na karo main bahut dosti se darti hun tirgi to meri muhafiz hai ham-nafas raushni se darti hun jis ko insaniyat se pyar na ho aise har aadmi se darti hun dub jaun na main khudi mein kahin is liye is khudi se darti hun khud kahin dil kahin dimagh kahin main teri bandagi se darti hun maslahat se jo kaam lete hain un ki kam-himmati se darti hun le na dube tujhe ye ai 'rumi' main teri khud-sari se darti hun