phul ki rangat main ne dekhi dard ki rangat dekhe kaun pyar ka git suna hai sab ne dhun thi kaisi soche kaun dhup ne tan-man phunk diya to sae mein aa baitha tha shakh shakh mein aag chhupi hai ped ke niche baithe kaun apne dard ko gard samajh kar manzil manzil chhod diya aaine par dhul jami hai aaine mein dekhe kaun ang ang se rang rang ke phul baraste dekhe kaun rang rang se shole barse kaise barse soche kaun fan tartib ka zewar le kar gulshan gulshan ubhra hai be-tartibi husn hai jis ka us fankar se uljhe kaun mere coat ka maila collar aur numayan hota hai pagal saj-dhaj rakhne wale tere samne baithe kaun