apni diwar apne dar wale hum saba-zad the sahar wale ye udanen paron pe likhi hain hum parinde nahin shajar wale khul raha hai shigaf-e-subh-e-falak shab ke waqfe nahin hain dar wale kya khuda aaega zamin par ab kho gae kis jagah hunar wale mil bhi jate to ruk nahin pate hum safar wale tum safar wale