tere wade pe e'tibar kiya muztarib dil ne bar bar kiya hum ne to is jahan-e-fani mein ho saka jitna intizar kiya us ko aana hai aaega lekin kab qaza ne khayal-e-yar kiya daman-e-ishq waqt ne aakhir dekh to kaisa tar tar kiya dil ke khas-khane jab sulagne lage hum ne aankhon ko aabshaar kiya teri majburiyan rahi hongi thik hai hum ne e'tibar kiya jal utha tur bujh gae dipak hum ne khud ko 'faraaz' dar kiya