apni ghairat ke alawa kahin dekhe na gae

apni ghairat ke alawa kahin dekhe na gae
khud se nikle the magar ghair ke pichhe na gae

tum ko afsos tumhein thik banaya na gaya
aur ek hum ke abhi chaak pe rakkhe na gae

ek sitam ye ke hamein wasl mein aaya na sukun
ek sitam ye ke tere hijr bhi dekhe na gae

sang us ke to mohabbat mein saliqe se kati
baad us ke bhi badan se ye saliqe na gae

tere aane pe kahan sar pe utha lete the ghar
tere jaane pe tere pichhe dariche na gae

us ki khushbu ko bhi rukhsat na kiya jata tha
hum se kuchh roz to kapde bhi utare na gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close