hum na wahshat ke mare marte hain teri dahshat ke mare marte hain mar mat be-murawwati se unhen jo murawwat ke mare marte hain shikwa kya kije sham-e-ghurbat ka apni shamat ke mare marte hain kya raqibon ko mariye wo aap sab raqabat ke mare marte hain yar se dur hain watan se juda is musibat ke mare marte hain saikdon us se hainge ham-aghosh lakhon hasrat ke mare marte hain kuchh hamari na puchhiye sahab hum to ghairat ke mare marte hain hai ajab zist 'muntazir' un ki jo ki ulfat ke mare marte hain