apni girah se kuchh na mujhe aap dijiye akhbar mein to nam mera chhap dijiye dekho jise wo pioneer office mein hai data bahr-e-khuda mujhe bhi kahin chhap dijiye chashm-e-jahan se haalat-e-asli chhupi nahin akhbar mein jo chahiye wo chhap dijiye dawa bahut bada hai riyazi mein aap ko tul-e-shab-e-firaq ko to nap dijiye sunte nahin hain shaikh nai raushni ki baat engine ki un ke kan mein ab bhap dijiye is but ke dar pe ghair se 'akbar' ne kah diya zar hi main dene laya hun jaan aap dijiye