har-chand ki insaf ka khwahan bhi wahi hai qatil bhi wahi aur nigahban bhi wahi hai barbaadi-e-gulshan ka jo saman bana tha barbaadi-e-gulshan pe pasheman bhi wahi hai hai nisbat-e-naumidi-e-tariki-e-shab jo ek muzhda-e-ummid-e-farozan bhi wahi hai pani mein talatum bhi usi chand ke bais aur apni ada dekh ke hairan bhi wahi hai tathir-e-siyasat ka bhi dawa hai usi ko tanqid-e-hukumat se gurezan bhi wahi hai mushkil hai mafar wahshat-e-tanhai se 'irfan' jo qarya hai aabaad bayaban bhi wahi hai