apni gumshudgi ki afwahen main phailata raha jo bhi khat aae bina khole hi lautata raha zehn ke jangal mein khud ko yun bhi bhatkata raha uljhanen jo thin nahin un ko hi suljhata raha muskurahat ki bhi aakhir asliyat khul hi gai gham zamane se chhupane ka maza jata raha aur rangin ho gai us ke tabassum ki dhanak ishq ka suraj haya ki barf pighlata raha mera chehra kho gaya chehron ke is bazar mein jaane kya kya rup main duniya ko dikhlata raha shahr ke chaurahe par pai thi us ne tarbiyat umr bhar auron ke aage hath phailata raha