ghulam sar pe ibaadat abhi na rakkhi jae khuda ke nam baghawat abhi na rakkhi jae main thik-thak to kar lun hasab-nasab apna lahu pe shart-e-nadamat abhi na rakkhi jae ki jis ki aanch se jibrail-e-agahi jhulsen ana mein itni tamazat abhi na rakkhi jae hamare shahr ki mitti hai shar-pasand bahut yahan fasil-e-hifazat abhi na rakkhi jae bahisht-rang muradon ki ja-namazon par munafiqon ki siyasat abhi na rakkhi jae safed-poshi-e-zillat bahut hai jine ko sar-e-janab-e-sharafat abhi na rakkhi jae hamare khun se ibarat hai shajra-e-tahzib yahan pe mohr-e-siyaadat abhi na rakkhi jae