apni har baat ko aaKHir wahan radd hona hai

apni har baat ko aakhir wahan radd hona hai
wo jo bolen unhin baaton ko sanad hona hai

ek mahal aur bana lo ki hawaon mein udo
aakhiri ghar to wo do gaz ki lahad hona hai

aur kuchh roz yunhi sabr kiye ja ai dil
un ke andaz-e-taghaful ki bhi had hona hai

sarfaraazi ki saadat hai mere hisse mein
is taraqqi pe harifon ko hasad hona hai

is nae daur ki laila bhi junun-pesha nahin
lazima qais ke jazbon mein khirad hona hai

sakht haalat jo aaen to bharosa rakhna
us ke darbar se aakhir ko madad hona hai

sher kahne ka saliqa to hai lekin 'wasiq'
hum se shair ko na 'ghaalib' na 'asad' hona hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close