koi aahat na koi dagar samne ek aks-e-safar sar-basar samne aasman par lahu gul bikharta hua aur ubharta hua mera sar samne wo akela hazaron se ladta raha jang hoti rahi raat bhar samne nannhi-munni duaon ka hasil hai kya lut gaya sara rakht-e-safar samne tut kar sare manzar bikharne lage be-tahasha ade baam-o-dar samne kashtiyan tut kar sab kinare lagin kaise aaseb ka hai safar samne koi autar to is zamin par mile aae koi to paighambar samne fasla mere qadmon mein manzil ka tha warna rahta kahan ye safar samne tukde tukde badan raqs karta hua ek zara sa udhar baam par samne