apni hasti ko andhe kunen mein girana nahin chahta main haqiqat-pasandi ko suli chadhana nahin chahta dar-ba-dar hun to sher-o-sukhan ke liye ya shikam ke liye warna main ghar se bahar gali tak bhi aana nahin chahta main ne minnat nahin man rakkhi darakhton se girta rahun main kisi shakh par koi tinka sajaana nahin chahta ho gai hai tujhe is qadar mujh se nafrat to soya na kar main to khud tere jaison ke khwabon mein aana nahin chahta meri koshish yahi hai ki zindon ko saya faraham karun main kisi qabr par koi pauda lagana nahin chahta main 'shanawar' teri qadr karta hun dil se magar jaane kyun apni aulad ko tere jaisa banana nahin chahta