sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai ai but kashish kuchh aisi tere sang-e-dar mein hai main kab hun ye mera tan-e-be-jaan hazar mein hai ruh-e-rawan-e-qalib-e-tan to safar mein hai ye ek asar to adwiya-e-chaaragar mein hai shiddat ab aur bhi mere dard-e-jigar mein hai sauda-e-ishq zulf-e-siyah jis ke sar mein hai kab mutlaq imtiyaz use nafa o zarar mein hai kya aaega kisi but-e-shirin-dahan pe dil kyun mitha mitha dard hamare jigar mein hai chheda mujhe ki nuh ka tufan bapa hua ek bahr-e-ashk band meri chashm-e-tar mein hai pahuncha kisi ko sadma ki hum lotne lage sare jahan ka dard hamare jigar mein hai nok-e-mizha ka rahne laga dil mein phir khayal shiddat ki tis phir mere zakhm-e-jigar mein hai sauda-e-zulf-e-yar mein hai dard-e-sar zarur ek khas lutf bhi magar is dard-e-sar mein hai mera ye nakhl-e-dil bhi hai aazad misl-e-sarw gul is shajar mein hai na samar is shajar mein hai chahe to la-makan ki bhi le aae ye khabar ye zor taer-e-dil-e-be-baal-o-par mein hai dushnam se bhi yar ki aati hai bu-e-lutf kuchh shak nahin ki khair nihan us ke shar mein hai kuchh shak nahin ki qurb-e-qayamat ki hai dalil ye fitna o fasad ki ab bahr o bar mein hai ho us se mere dida-e-tar ka muqabla 'ranjur' is ki tab kahan abr-e-tar mein hai