apni hi aawaz ke qad ke barabar ho gaya martaba insan ka phir baala-o-bartar ho gaya dil mein dar aaya to misl-e-gul moattar ho gaya mere sheron ka sarapa jis ka paikar ho gaya dhalte suraj ne diya hai kitni yaadon ko farogh chand yun ubhra ki har zarra ujagar ho gaya ab to apne jism ke sae se bhi lagta hai dar ghar se bahar bhi nikalna ab to dubhar ho gaya gunjta mahaul wahshi wahime jangal safar uf ye kali raat jo mera muqaddar ho gaya hae wo ek ashk jis ki koi manzil hi nahin hae wo ek be-zaban jo ghar se be-ghar ho gaya aap se hum kya kahen shahr-e-nigaran ka mizaj jo bhi is mahaul mein aaya wo patthar ho gaya kya huin fikr-o-tasawwur ki tere ranaiyan hadisa aisa bhi kya 'tanwir' tum par ho gaya