ab bhi aae hai wo gali meri us ko hona hai aaj bhi meri jaanti hai wo meri ek ek baat us ne padh li hai diary meri tez-raftar ho gaya hun main aage chalne lagi ghadi meri sone chandi ke ek pinjre mein qaid hai aaj-kal pari meri khwahishon ka ghulam hun main bhi kaam aai na aagahi meri aap to baat meri sun lije zindagi ne nahin suni meri log badnam kar rahe hain use dekhi jati nahin khushi meri