apni hi aawaz ko be-shak kan mein rakhna lekin shahr ki khamoshi bhi dhyan mein rakhna mere jhut ko tolo bhi aur kholo bhi tum lekin apne sach ko bhi mizan mein rakhna kal tarikh yaqinan khud ko dohraegi aaj ke ek ek manzar ko pahchan mein rakhna bazm mein yaron ki shamshir ke jauhar dekho razm mein lekin talwaron ko myan mein rakhna is dariya se aage ek samundar bhi hai aur wo be-sahil hai ye bhi dhyan mein rakhna is mausam mein gul-danon ki rasm kahan hai logo ab phulon ki aatish-dan mein rakhna