apni hi rawani mein bahta nazar aata hai ye shahr bulandi se dariya nazar aata hai deta hai koi apne daman ki hawa us ko shoala sa mere dil mein jalta nazar aata hai us hath ka tohfa tha ek dagh mere dil par wo dagh bhi ab lekin jata nazar aata hai aankhon ke muqabil hai kaisa ye ajab manzar sahra to nahin lekin sahra nazar aata hai ek shakl si banti hai har shab meri nindon mein ek phul sa khwabon mein khilta nazar aata hai aankhon ne nahin dekhi us jism ki ranai ye chaar taraf jis ka saya nazar aata hai dariya ko kinare se kya dekhte rahte ho andar se kabhi dekho kaisa nazar aata hai phir zau mein 'nadim' apni kuchh kam hai sitara wo ye raat ka aaina dhundla nazar aata hai