jaante the gham tera dariya bhi tha gahra bhi tha dubne se peshtar socha bhi tha samjha bhi tha aaina ai kash tu apna bana leta mujhe faeda is mein bahut tera bhi tha mera bhi tha ek azab-e-jaan thi us ki tunak-khui magar zaiqa us dard ka mitha bhi tha tikha bhi tha kaise padh leta main us chehre se apna haal-e-dil wo rukh-e-jugnu-sifat jalta bhi tha bujhta bhi tha yun kiya hai muddaton main ne ghazal ka mashghala ek tere nam ko likhta bhi tha padhta bhi tha dil ki rahon mein ba-har-surat rahi ek raushni chand tere dard ka badhta bhi tha ghatta bhi tha hum ne tere aks ko taqsim kab hone diya aaina to barha tuta bhi tha bikhra bhi tha jab wo rukhsat ho gae hum se to yaad aaya hamein un se ai 'asrar' kuchh kahna bhi tha sunna bhi tha