apni KHushiyon pe to farhat bhi nahin kar sakte

apni khushiyon pe to farhat bhi nahin kar sakte
hum to izhaar-e-masarrat bhi nahin kar sakte

hakim-e-waqt hai ab khud hi madad-gar-e-sitam
us se zulmon ki shikayat bhi nahin kar sakte

tum ko man bap ne paida kiya pala posa
tum ki man bap ki khidmat bhi nahin kar sakte

is qadar tut ke chaha tha kabhi hum ne tujhe
hum tujhe chah ke nafrat bhi nahin kar sakte

tum ne zulfon mein kiya qaid meri nindon ko
kya riha kar ke inayat bhi nahin kar sakte

itne manus hain hum teri gali se jaanan
hum tere shahr se hijrat bhi nahin kar sakte

un ko ye zoam ki wo khud hain maballigh ai 'zaki'
shaikh sahab ko nasihat bhi nahin kar sakte

hum asiran-e-riwayat ki ye mushkil hai 'zaki'
hum riwayat se baghawat bhi nahin kar sakte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close