safar hai dhup ka is mein qayam thodi hai bala hai ishq ye bachchon ka kaam thodi hai kisi ko wasl hai bojhal koi firaq mein khush dilon ke khel mein koi nizam thodi hai hamare dil mein dhadakta hai nam us ka abhi hai ye shuru-e-mohabbat tamam thodi hai jo ahl-e-ishq hain manzil ka gham nahin karte ye khas logon ka rasta hai aam thodi hai hum apne man ki karenge bura lage ki bhala hamara dil hai tumhaara ghulam thodi hai tumhaari yaad jo aai to aa gae milne wagarna tum se hamein koi kaam thodi hai badha jo dard to kaghaz pe khud utar aaya samajh ke soch ke likkha kalam thodi hai