apni manzil ka rasta bhejo jaan hum ko wahan bula bhejo kya hamara nahin raha sawan zulf yan bhi koi ghata bhejo nai kaliyan jo ab khili hain wahan un ki khushbu ko ek zara bhejo hum na jite hain aur na marte hain dard bhejo na tum dawa bhejo dhul udti hai jo us aangan mein us ko bhejo saba saba bhejo ai faqiro gali ke us gul ki tum hamein apni khak-e-pa bhejo shafaq-e-sham-e-hijr ke hathon apni utri hui qaba bhejo kuchh to rishta hai tum se kam-bakhton kuchh nahin koi bad-dua bhejo