rote hain sun ke kahani meri kash sunte wo zabani meri kat gaya ghair mare nalon se wah-ri saif-zabani meri aaina dekh ke farmate hain kis ghazab ki hai jawani meri phir tumhein nind nahin aane ki kahin sun li jo kahani meri bar kiya panw teri mahfil mein hai subuk tujh pe girani meri hama-tan-gosh bane sunte hain ghair kahta hai kahani meri yaad aaunga jafa-karon ko be-nishani hai nishani meri iltija ek muqaddar do the ghair ki mani na mani meri hashr mein kuchh na hua mujh se sawal wah-ri hech-madani meri ab uthenge tere dar se mar kar kabhi uthti nahin thani meri mere ashaar fughan-e-dil hain qadr karta hai 'fughani' meri khusraw-e-mulk-e-sukhan-dani hun dad hai baj-satani meri dil mein poshida rahegi kab tak aatish-e-shauq-e-nihani meri tar-e-gesu se nazar ja uljhi dekhna resha-dawani meri dil ki haalat se khabar deti hai 'asar' aashufta-bayani meri