apni misal aap hai wo be-misal hai

apni misal aap hai wo be-misal hai
ye dekhna hai kaun mera ham-khayal hai

har qahqahe mein dard ke sagar hain tah-nashin
diwana dekhne mein to aasuda haal hai

kab sabza-e-nishat hai aasuda-e-nazar
har samt surkh surkh salibon ka jal hai

patthar ba-dast milta hai har shakhs shahr mein
aaina ban gae hain to bachna muhaal hai

barbaadi-e-hayat pe 'mahwar' hun khush bahut
barbaadiyon ka meri unhen bhi khayal hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close