apni na-karda-gunahi ka sila bhi rakh le dil ke khane mein zara khauf-e-khuda bhi rakh le tujh ko le jaegi sannate mein ek roz hayat apne kanon ke liye sang-e-sada bhi rakh le bujh na jae kahin ehsas ke shoalon ka mizaj munjamid waqt hai thodi si hawa bhi rakh le fasla aur badha degi ana ki dahliz darmiyan zina-e-ikhlas-e-wafa bhi rakh le zindagi dasht-e-tilismat ki jaanib hai rawan kuchh to hamrah buzurgon ki dua bhi rakh le roz ka milna giran-bar-e-talluq na bane be-sabab us se kabhi khud ko juda bhi rakh le