ya-rab ye kaisa aaj ka insan ho gaya takhliq kar ke tu bhi pasheman ho gaya mausam bahaar ka tha khizan jald aa gai hansta hua chaman mera viran ho gaya luta hai jis ne shahr ke sabr-o-qarar ko wo shakhs mere shahr ka pardhan ho gaya aise nae chalan ki chalin aandhiyan yahan insan apni zat mein haiwan ho gaya chaha tha main ne dil se kabhi tujh ko tut kar wo hadisa hayat ka unwan ho gaya thin zindagi ki rah mein dushwariyan bahut marna kisi ke ishq mein aasan ho gaya itna hasin hai mere 'gulshan' ka bankpan har gul meri nigah mein zishan ho gaya