apni nakaam tamannaon ka matam na karo tham gaya daur-e-mai-e-nab to kuchh gham na karo aur bhi kitne tariqe hain bayan-e-gham ke muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo han ye shamshir-e-hawadis ho to kuchh baat bhi hai gardanen tauq-e-ghulami ke liye kham na karo tum to ho rind tumhein mahfil-e-jam se kya kaam bazm-e-jam ho gai barham to koi gham na karo baada-e-kohna dhale saghar-e-nau mein 'fitrat' zauq-e-fariyaad ko aazurda-e-matam na karo