apni nazar mein aap ko ruswa na kar sake hum dushmanon ke sath bhi dhoka na kar sake sab raston ka ilm tha manzil qarib thi afsos ham-safar ka irada na kar sake aankhen asir zehn giraftar lab ba-qufl un ke huzur ek ishaara na kar sake un ka sitam to khair bahut sah liya magar un ke karam ka bojh gawara na kar sake yaran-e-gham-gusar dilase tasalliyan tinke the jin pe koi sahaara na kar sake likhte rahe junun ki hikayat khun-chakan lekin kisi pe raaz ye ifsha na kar sake zulmat-parast charagh the aise bhi kuchh 'raza' jalte rahe magar jo ujala na kar sake