apni nazar mein hech hai sare jahan ki sair dil khush na ho to kis ka tamasha kahan ki sair ab tak to dekhte rahe joban bahaar ka aainda hum karenge tumhaari khizan ki sair duniya ke dekhne ke liye aankh chahiye jannat ki sair se hai siwa us makan ki sair kuchh jhumte hain nashshe mein kuchh hain gire pade kuchh aur hi hai mahfil-e-pir-e-mughan ki sair kyon dekhne lage meri chashm-e-pur-ab ko dariya pe aap kijiye aab-e-rawan ki sair kyon aadmi ko aalam-e-baala ki ho hawas badh kar nahin zamin se kuchh aasman ki sair dilli mein phul walon ki hai ek sair 'dagh' balde mein hum ne dekh li sare jahan ki sair