ai falak chahiye ji-bhar ke nazara hum ko ja ke aana nahin duniya mein dobara hum ko kabhi ima na kinaya na ishaara hum ko kam-nigahi ne teri jaan se mara hum ko hum kisi zulf-e-pareshan ki tarah ai taqdir khub bigde the magar khub sanwara hum ko jab khinche un se hue aur ziyaada muztar maraz-e-ishq ke parhez ne mara hum ko roz takrar kare kaun kharidaron se dil ki is garmi-e-bazar ne mara hum ko aap se ab na banega koi sauda apna pher dije dil-e-betab hamara hum ko bahr-e-hasti mein hue kashti-e-tufani hum nahin milta kahin ai 'dagh' kinara hum ko