apni nazren dar-o-diwar par aksar rakhna ajnabi ghar mein qadam soch-samajh kar rakhna kahin phat jae kaleja na wufur-e-gham se apni palkon mein chhupa kar na samundar rakhna itna aasan nahin un ko bhulana dil se soch kar apne kaleje pe ye patthar rakhna yaad aata hai wo manzar tere afsane ka apne mahbub ko dushman ke barabar rakhna khwab mein aaenge pur-nur parinde lekin shart hai saf magar zehn ka bistar rakhna saunp di main ne tumhein mehr-o-wafa ki kunji laut aaunga saliqe se mera ghar rakhna ai 'asar' abru phulon ki jhulas jaegi tum na shoalon ki hatheli pe gul-e-tar rakhna