har aaine mein tera hi dhuan dikhai diya mera wajud hi mujh ko kahan dikhai diya ye kaisi dhup ke mausam mein ghar se nikla hun ki har parinda mujhe saeban dikhai diya main apni lahr mein lipta hua samundar hun main kya karun jo tera baadban dikhai diya kaha hi tha ki salam ai imam-e-ali-maqam hamari pyas ko aab-e-rawan dikhai diya meri nazar to khalaon ne bandh rakkhi thi mujhe zamin se kahan aasman dikhai diya