apni sachchai ka aazar jo pale hue hain khud ko hum gardish-e-afat mein dale hue hain band mutthi mein jo khushbu ko sambhaale hue hain ye samajhte hain ki tufan ko tale hue hain hain to aabaad magar dar-badari ki zad par wo bhi meri hi tarah ghar se nikale hue hain apni raftar se aage bhi nikal sakta hun mujh pe kab hawi mere panw ke chhaale hue hain ab kisi bab-e-samaat pe na dastak denge dafn sahra ki fazaon mein jo nale hue hain surkh-ru jo hai wo mera koi ham-zad hai kya nok-e-neza pe wo sar kis ka uchhaale hue hain un ke shane hain har ek bar-e-garan se khali ab wo dastar nahin sar ko sambhaale hue hain waza ka pas bhi rakhne ke rahe ahl kahan khud ko hum aur kisi sanche mein dhaale hue hain us ki khushbu se tilismat ka dar khulne laga dida-o-dil qad-o-gesu ke hawale hue hain