haalat mere dil ko lagane nahin dete aankhon mein tere khwab sajaane nahin dete zulmat ke pujari to bahut tang-nazar hain jashn-e-shab-e-tarik manane nahin dete aankhon pe to bilkul hi koi bas nahin chalta hum khud ko teri bazm mein jaane nahin dete jannat ki duaen mujhe dete hain sabhi log is ahd mein jine ke bahane nahin dete nafrat ki riwayat ke paband hain lahje ruthe hue logon ko manane nahin dete kuchh khwab meri zat se badh kar bhi to hain jo phir dil ko teri aas lagane nahin dete sukhe hue phul aur tere lams ki khushbu sadma tere jaane ka bhulane nahin dete goyai hai paband-e-salasil ki 'amir' ab sahra mein bhi aawaz lagane nahin dete