apni sansen meri sanson mein mila ke rona jab bhi rona mujhe sine se laga ke rona qaid-e-tanhai se nikla hun abhi jaan-e-safar mujh se milna mujhe zulfon mein chhupa ke rona itna saffak na tha ghar ka ye manzar pahle teri yaadon ke charaghon ko bujha ke rona hum ne is tarah bhi kati hain bahut si raaten dil ke khush rakhne ko afsane suna ke rona kitne be-dard hain is des mein rahne wale apne hathon tujhe suli pe chadha ke rona gham-e-dauran ne tere lutf ki mohlat hi na di ye bhi hona tha sar-e-shab tujhe pa ke rona