dur kya shama kabhi rahti hai parwane se aap kyun ruth gae apne hi diwane se jis tarah mai chhalak utthe kabhi paimane se aap yun dur hue apne hi mastane se pyar ki aag mein jalne ka maza hai kaisa kya bataega koi puchhiye parwane se mai-kade ki is udasi se pata lagta hai tishna-lab uth gaya shayad koi maikhane se raat baqi hai abhi jaane ki jaldi kya hai sab chala jaega ek tere chale jaane se lag gai kis ki nazar daur-e-taraqqi pe khuda aaj apne hi nazar aate hain begane se