apni sochen shikast-o-kham na kar chal pada hai to phir qayam na kar main bhi hassas dil ka malik hun sare ehsas apne nam na kar jism chahe ghulam ho jae zehniyat ko magar ghulam na kar main khud apni nazar se gir jaun tu mera itna ehtiram na kar tere pichhe ghubar udne lage khud ko tu itna tez-gam na kar log mashkuk ho chale 'azar' ab har ek shakhs ko salam na kar