na puchh rah-e-talab mein kidhar se guzra hun tere hi pas se guzra jidhar se guzra hun khuda gawah ki dil mein khulus-e-gham le kar ba-ehtiram shab-e-be-sahar se guzra hun teri nazar ko bhi ab tak khabar nahin ai dost is ehtiyat se teri nazar se guzra hun tere khayal ko bhi thes lag na jae kahin bahut sanbhal ke gham-e-mo'tabar se guzra hun kabhi kabhi to ek aisa maqam aaya hai main husn ban ke khud apni nazar se guzra hun bas is qadar hai meri sharh-e-sarguzasht-e-hayat kisi ki ek nigah-e-mukhtasar se guzra hun kise bataun kya ai 'arzu' main kitni bar khud un ke zehn mein un ki nazar se guzra hun