apni tajalliyon se mamur ho gae hum

apni tajalliyon se mamur ho gae hum
ya khak-e-rahguzar the ya tur ho gae hum

yaron ki tishna-kaami zindan mein yaad aai
saqi se jam le kar ranjur ho gae hum

hum aur ja ke zulf-e-ayyam se ulajhte
ai kakul-e-pareshan majbur ho gae hum

yaron ne dushmani ki hum ne khulus barta
kuchh dur ho gae wo kuchh dur ho gae hum

mahfil mein aakhir-e-shab ek baat ki kami thi
wo baat hum ne kah di mansur ho gae hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close