ye gham KHushiyon ki kyon mujh par nazar hone nahin dete

ye gham khushiyon ki kyon mujh par nazar hone nahin dete
mujhe aaghosh mein le kar sahar hone nahin dete

badi khamoshi se rahte mizha-e-dil pe ye aansu
kisi ko dard ki mere khabar hone nahin dete

shajar par dil ke baithe hain parinde hijr ke kuchh yun
ki shakhon par mohabbat ke samar hone nahin dete

saja kar log sapne ek hasin sa ghar banane ke
bana lete makan par us ko ghar hone nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close