apni tamir mein kab bais-e-nuqsan hun main

apni tamir mein kab bais-e-nuqsan hun main
bas khushi ke liye muddat se pareshan hun main

yun uthae hue phirti hai mujhe gam-ba-gam
jaise taqdir ka bandha hua saman hun main

kitne chehron ke khad-o-khal mein chehra na raha
iztirabi tere kirdar pe hairan hun main

itna dukh de ki tera dard badan jhel sake
zindagi kuchh bhi ho aakhir tera mehman hun main

tez aandhi mein kisi sukhe shajar ki surat
kaun samjhega dhadakte hue be-jaan hun main

is liye tujh se hifazat ki dua hai malik
teri bakhshi hui rahmat ka nigahban hun main

mere hone ki koi ek alamat to mile
jis se mahsus kiya jae ki 'shiran' hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close