aankhen daldal ho jaengi chehre thal ho jaenge

aankhen daldal ho jaengi chehre thal ho jaenge
jaane walon ko ro-ro kar hum pagal ho jaenge

karne wale hone ki koshish mein hal ho jaenge
kaam adhure rah jaenge log mukammal ho jaenge

tu chahe to raston ki taqdir badal bhi sakti hai
tere panw chhu kar patthar bhi malmal ho jaenge

aakhir suraj khinch hi lega sara pani mitti se
ek din dariya jhil samundar sab baadal ho jaenge

hum ne dekha to ud jaegi mahkar gulabon se
us ke hathon sukhe paude bhi sandal ho jaenge

apne apne zarf mutabiq haiat badli jaegi
dariya dasht chaman virane ghar jangal ho jaenge

khali ghar ka darwaza to qabr ki surat hota hai
dastak dete dete tere bazu shal ho jaenge

tum bologe to aaega chain samaat ko warna
jaise sochte rahte ho tum hum pagal ho jaenge

phir ye log karenge raushan dip duaon ke 'shiran'
ladte-ladte shahr hamare jab maqtal ho jaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close