apni tanhai aur gham apne jo hain hamrah o ham-qadam apne dur ho jaiye bhala kis se yaad rahti hai jab baham apne ishq aur iztirab hain donon jaanne wale mohtaram apne aasman ke hasin sahil par jagmagate rahe the nam apne nind bhi ek rasta hi to hai dhundiye khwab dam-ba-dam apne the kabhi fath-o-sarkhushi ka nishan hain alam in dinon alam apne dil mein rahte hain ‘kaamran-nafis' ghar bhi rakhte hain sath hum apne