ashkon se wo aasman bhara tha dil dard se jhilmila gaya tha wo zakhm bahaal tha badan par paiwand libas mein laga tha us chand ki raushni juda thi us raat ka rang bhi naya tha khamosh thin sarsarahaten bhi ek lams ne shor jab kiya tha konpal pe dhanak chamak rahi thi us sharm ko rang chumta tha shishe ki ragen chatakh rahi tahen sanson se ghubar chha raha tha gul-dan mein khil rahi thi hairat kamre mein sukut chha gaya tha hairat se bikhar rahi thi khushbu khushbu ka hijab utar chuka tha ek lau pe utar rahi thi shabnam ek phul charagh mein jala tha sansen ho rahi thin be-tawazun shoalon pe dhamal ho raha tha nazdik kahan tha is qadar wo khwabon pe muhit fasla tha main khwab samajh raha tha jis ko dar-asl junun ka irtiqa tha