apni tanhai ka saman uTha lae hain

apni tanhai ka saman utha lae hain
aaj hum 'mir' ka diwan utha lae hain

in dinon apni bhi wahshat ka ajab aalam hai
ghar mein hum dasht-o-bayaban utha lae hain

wusat-e-halqa-e-zanjir ki aawaz ke sath
hum wo qaidi hain ki zindan utha lae hain

mere sanson mein koi gholta rahta hai alaw
apne sine mein wo tufan utha lae hain

ek nae tarz pe aabaad karenge us ko
hum tere shahr ki pahchan utha lae hain

zindagi khud se mukarne nahin denge tujh ko
apne hone ke sab imkan utha lae hain

hum ne nuqsan mein imkan ko rakkha hi nahin
jitne mumkin the wo nuqsan utha lae hain

kuchh to 'shahid' ko bhi nisbat rahi hogi us se
wo jo tuta hua gul-dan utha lae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close