apni tanhai ke sailab mein bahte rahna kitna dushwar hai ai dost akele rahna panw patthar kiye dete hain ye milon ke safar aur manzil ka taqaza hai ki chalte rahna band kamre mein kisi yaad ki khushbu odhe tum bhi 'ghaalib' ki tarah yaad mein dube rahna bahte rahne se to dariyaon mein kho jaoge jhil banna hai to ek mod pe thahre rahna dar-o-diwar jahan jaan ke dushman ho jaen aur usi ghar mein jo rahna ho to kaise rahna dushmanon se to kabhi khauf na khana lekin mashwara ye hai ki ahbab se bach ke rahna jaane kya rog laga rakkha hai tum ne 'tariq' har jagah tute hue bikhre hue se rahna