kab se shab-e-firaq talash-e-sahar mein hai suraj mere nasib ka lambe safar mein hai mahrumiyon ki dhup se tapte hain baam-o-dar mahaul sazgar kahan mere ghar mein hai phir tishnagi hai qaus-e-quzah ka saman liye aab-e-rawan hai aankh mein sahra nazar mein hai fanus jagmagae hue hain makan ke kai magar jami hui diwar-o-dar mein hai sab hi meri talash mein nikle hain har taraf 'talib' kahin chhupa hua apni nazar mein hai