apni to guzri hai akasr apni hi man-mani mein lekin achchhe kaam bhi hum ne kar dale nadani mein hum thahre aawara panchhi sair gagan ki karte hain jaan ke hum ko kya karna hai kaun hai kitne pani mein ruh ko us ki rah ka patthar banna hi manzur na tha bazi hum ne hi jiti hai apni is qurbani mein yar nai kuchh baat agar ho hum bhi sajda kar lenge akasr ek hi baat suni hai sab santon ki bani mein mehnat kar ke hum to aakhir bhuke bhi so jaenge ya maula tu barkat rakhna bachchon ki gud-dhani mein mauqe to hum tak bhi aae khub kama kha lete hum lekin ek zamir tha bhitar allah ki nigrani mein