ye kaise sanahe ab pesh aane lag gae hain tere aaghosh mein hum chhat-patane lag gae hain bahut mumkin hai koi tir hum ko aa lagega hum aise log jo panchhi udane lag gae hain hamare bin bhala tanhai ghar mein kya hi karti use bhi sath hi office mein lane lag gae hain badan par shab ki barish ke chhinte pad gae the parai dhup mein un ko sukhane lag gae hain hawa ke ek hi jhonke mein ye phal gir padenge ye budhe ped ke kandhe jhukane lag gae hain nazar ke chauk pe barish jhama-jham gir rahi hai to dil ke room mein gane purane lag gae hain